14,99 €
inkl. MwSt.

Versandfertig in über 4 Wochen
  • Broschiertes Buch

Vo ishaaro mein kehne lage the aur hum unke ishaaro ko samajhne lage the, shayad isliye itni nasamjhi kar baithe. Ya toh baatien nahi thi ya unko kehne ke liye shabd ki kami thi hamare beech, shayad isliye aaj is ALFAAZ ka janam hua hai. ALFAAZ sirf ek shayari ki kitaab nahi hai, ye vo shabd hai jo mere man me toh the par kabhi hothon par nahi aa paaye, ye mere ehsaas hain. Shayari ek aisa zariya hai jiske madhyam se aap gehri se gehri baatein kam se kam alfaaz mein bayaan kar sakte hain, kabhi kabhi 4 panktiyon me 400 shabdo ka matlab chhupa hota hai. ALFAAZ ki kahaani bhi kuch aisi he hai,…mehr

Produktbeschreibung
Vo ishaaro mein kehne lage the aur hum unke ishaaro ko samajhne lage the, shayad isliye itni nasamjhi kar baithe. Ya toh baatien nahi thi ya unko kehne ke liye shabd ki kami thi hamare beech, shayad isliye aaj is ALFAAZ ka janam hua hai. ALFAAZ sirf ek shayari ki kitaab nahi hai, ye vo shabd hai jo mere man me toh the par kabhi hothon par nahi aa paaye, ye mere ehsaas hain. Shayari ek aisa zariya hai jiske madhyam se aap gehri se gehri baatein kam se kam alfaaz mein bayaan kar sakte hain, kabhi kabhi 4 panktiyon me 400 shabdo ka matlab chhupa hota hai. ALFAAZ ki kahaani bhi kuch aisi he hai, kam shabdo me kaafi kuch kehne ki koshish ki hai. ALFAAZ mein aapko pyar, dosti, bewafaai, himmat aur mere kanha, sab milenge, ummeed hai aap sabko ye kitaab padh ke apne man mein qaid khayaalo ko pankh dene ka mauka mile aur aap apne alfaaz khul kar bayaan kar sake, Toh chalte hain "ALFAAZ- ek dard, khushi aur dastaan" ke is khoobsurat safar par,mujhe yakeen hain aap is safar ko behad pasand karenge.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.