15,99 €
inkl. MwSt.

Versandfertig in über 4 Wochen
  • Broschiertes Buch

Treta Yug - sabke anugreh karne ke baad bhi Ravan ne Sita Ji ko vapis lautane ki chinta nahin ki, vo janta tha ki use harana asambhav hai. Lekin use ye abhas hone laga tha ki is yudh me kuchh to anisht ho sakta hai, isliye vo aise kary me lag gaya ki uska astitiv hi na mite, na manushy ke hathon, na devta ke hathon. Vo hamesh dharti par rahega aur raaj karega. Dvapar yug - Bhagwan krishn dekh rahe the ki Ravan ne jo asambhav anushthan treta yug me kiya, uski wajah se is yug me paap bahut adhik bad gaya hai. Isliye uski ke liye Bhagwan Krishn, Himalaya par gaye, Mahadev se Ashirwad lene, taki…mehr

Produktbeschreibung
Treta Yug - sabke anugreh karne ke baad bhi Ravan ne Sita Ji ko vapis lautane ki chinta nahin ki, vo janta tha ki use harana asambhav hai. Lekin use ye abhas hone laga tha ki is yudh me kuchh to anisht ho sakta hai, isliye vo aise kary me lag gaya ki uska astitiv hi na mite, na manushy ke hathon, na devta ke hathon. Vo hamesh dharti par rahega aur raaj karega. Dvapar yug - Bhagwan krishn dekh rahe the ki Ravan ne jo asambhav anushthan treta yug me kiya, uski wajah se is yug me paap bahut adhik bad gaya hai. Isliye uski ke liye Bhagwan Krishn, Himalaya par gaye, Mahadev se Ashirwad lene, taki Ravan ki kaat paida ki ja sake. Kaliyug - Ravan ki kali shakti ne Kaliyug me ek Rakshas paida kar diya. Idhar Bhagwan Krishn ke chamatkar se janmi daiviye atma ne Kaliyug ko ek mahanayak de diya. Dono amne samne hain, jiski chapet me, Madhya Pradesh ke Khandwa Zile ke Vaishnav aur Kaithi, Varanasi ke Shaiv samprday ke log aa chuke hain.