Phir ek din wah prem mil jata hai aur is rishte ko smajhane me uskas amna hota pitrsatta dwara paribhashit prem ka jo ye kahta hai ki stri ka prem ek samapran hai, apne astitva ko bhool jane, sathi ka khyal rakhna aur uske ird gird apni astitav ko kho dena. Is uljhan se jujhte hue apni khud ki prem ki paribhsha ko tlashte hue usnel ikha ki ye ladai tumse nahi hai mere prem, chal mere sath, azad rahon ke sathi mujhe hone do, mai tumse prem karti hoon, pratirodh ki awaz, khirki se jhankte sapne ityadi. Phir apne prem ko paa lene aur khud ko kho dene ka silsila shuru hota hai aur kuchh kavita usi manodasha ki upaj hai. Isi jaddojahd me ek mod aisa aata hai jab ye stri khhud ki pehchan aur talsh ke liye uthti hai apne ko is pitrasatta se paribhshit rishte se mukt karti hai aur tujhko khoya to paya khud ko, ae nanhe patto, tere jaane ke gam ka sukun, ek talsh aadi ki rachna hoti hai. Prem ko pane khone, naye sire se paribhashit karne aur swaym ko pitrasatta se uljhte hue likhi gayi ye kavitayen pathko ko shayd apni hi baat kahti hui si lage.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.