Prem bada mayavi hota hai aur kacchi umr ka prem to aur bhi khatarnak lagta hai. Is prem ki theek- theek taaseer koi nahi samajh saka aajtak kyuki prem me kabhi dukh ho hi nai sakta, dukh to adhikar jatane me hota hai, jo prem ka shatru hai. Lekhak dwara "bikhre moti tute khwaab" pustak ke madhyam se ek insaan ke jeevan me har padav par prapt hone wale prem ko samjhne ke sath-sath use aapke hriday me utarne ka prayas kia gaya hai. Is rachna me shringar ras ke kavitaon ke sath-sath jeevan ke kuch anya ayamo par bhi likhi gai hain kavitaiye. Lekhak is asha ke sath is pustak ko aapsabko saunp rahe hain ki parhe prem path jo bikhre moti to mujhpar ilzam na dein. Pyaar sirf ek ehsas hai, aap jeevan ke har rup me karein mehsus aur pyaar ko pyaar rehne dein, koi aur naam na dein.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.