""Dhyan Bhare Lamhe"" we lamhe hote hain, jinki pahunch lamhon ke pare hoti hai. We lamhe apko is baat ka ehsaas dilate rahte hain ki aap Anadi, Anant hain. We lamhe apka peecha nahi chhodte. We khud ko punarjivit karte rahte hain. We aur gahre aur rahasymay hote chale jate hain. We apko kheenchne lagte hain. Aap unke prabhaw se khud ko bacha nahi pate hain. Dheere dheere aap unme doobte chale jate hain. Antarjagat ke dwar ek ke baad ek khulne lagte hain aur apko yun mahsus hota hai mano aap apni is Dharti par ek Pargrahi ho. Dhyan Bhare Lamho se mera rishta bachpan se raha hai. Dopahar ki dhoop me chhat par Padmasan lagakar baith jana aur dhyan ka khel khelna. Planchette karke aatmaon ko bulana aur unka sach me aa jana. Bina prayas kiye nirantar Sakshi Bhaw me rahna. ""Dhyan Bhare Lamhe"" me char adhyay hain. Pahle adhyay me maine sukshm jagat ke vibhinn anubhawo ke bare me bataya hai. Krishna, Budha, Jesus, Sai Baba, Dhoomawati maa, Van Dewi, Osho, Agyat Sadhu, Awdhoot Baba Shivanand aadi kis prakar mujhe sukshm jagat me mile aur mujhe prerit kiya, ye maine is adhyay me bataya hai. Dusre adhyay me Dhyan ka abhyas karte samay hone wale vibhinn anubhawo ke bare me bataya hai. Jaise Vishalta ka anubhaw, Linga me spandan hona, Sukshm Shariro ka gati karna, Chakro ka ghumna aur khulna, Chetna ki Sarwavyapakta ka anubhaw, Bhoot aur Bhawishya ka samne aana, Antarjagat ka Pragatikaran aadi. Teesra adhyay Dhyan ke Prayog aur Choutha adhyay Dhyan se hone wale labh ke bare me hai.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.