Hasthrekha shastra pracheen hrishi-muniyo dwara vishwa ko diya gaya uphar hai. Hasthrekha ka sambandh bhartiye samudrik shastra, hastha samudrik shastra tatha falit-jyotish se hai. Prastut pustak ka pradayan khyatilabdh vidwan hasthshastri shri surendra nath saxena dwara kiya gaya hai. iss pustak mein hasthrekha ki baarikiyon par prakash daala gaya hai. pustak sakaratmak evam sahayak hogi. prastut pustak mein griho ke haanikarak prabhavo ko dur karne ke uppayo ka vistrit vivechan kiya gaya hai. bhavishya ki jaankari se durghatnaon evam appatiyon se bachav ke tariko evam savdhaniyon ke vishey mein upaaye bataaye gaye hain. pustak padhne ke baad pathak apni khubiyon ke saath-saath apni kamiyon ko jaan paayega. isse usse apni khubiyon ko nikharne tatha kamiyon ko dur karne mein atyadhik sahayta prapt hogi.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.