10,99 €
inkl. MwSt.

Versandfertig in über 4 Wochen
payback
5 °P sammeln
  • Broschiertes Buch

Safalata-Bhautik Upbhog pane ke chakkar mein, modernization (aadhunikaran), pradarshanwadi aur marketing dikhavewali soch nein, safal professionalism ke chakkar mein, jaldbazi mein aaj hamne kayi samjhaute kar liye hain. Ham Rishtosein, vyavaharosein, yatharthwadi bhumigat jamini sachhaiyose, jivan ki mulbhut vastavikata se, buniyadi siddhantosein, apnosein ub gayein hain yan unsein duri bana li hain. ham apne jivan mein aur apne aaspas hone wali gatividhiyon par keval ek mukdarshak ki bhanti nazar rakhte hain, kabhi kabhar social media par apna ugaal nikal lete hain. sab vaisa hi chalta aa…mehr

Produktbeschreibung
Safalata-Bhautik Upbhog pane ke chakkar mein, modernization (aadhunikaran), pradarshanwadi aur marketing dikhavewali soch nein, safal professionalism ke chakkar mein, jaldbazi mein aaj hamne kayi samjhaute kar liye hain. Ham Rishtosein, vyavaharosein, yatharthwadi bhumigat jamini sachhaiyose, jivan ki mulbhut vastavikata se, buniyadi siddhantosein, apnosein ub gayein hain yan unsein duri bana li hain. ham apne jivan mein aur apne aaspas hone wali gatividhiyon par keval ek mukdarshak ki bhanti nazar rakhte hain, kabhi kabhar social media par apna ugaal nikal lete hain. sab vaisa hi chalta aa raha hai aur hota rahega. ham padhe-likhein anpadh ya padhe-likhe ganvaar kahlayein to atishayokti nahi hogi. ham sab sacchaiyaan jantein hain, apni galtiyaan bhi, par kyaan karein? ki ham kuchh nahi jante ? Gahrayi se vishleshan karein to ham bahut kuchh khote chale jaa rahein hain, chahein jaldbazi mein, safalata ka shikhar chhuna ho ya kshanik sukh paana ho ham jaldi samjhauta kar rahein hain jivan ki buniyadi cheezosein, sukhosein, mulyosein aur siddhantosein ......... Inhein bachanein aur vyavastha mein agar sakaratmak badlav/parivartan hetu nyayochit bato ka samarthan karna hoga. RajHans ki tarah sahi nyayochit ko sahi aur galat ko galat kahne ki himmat rakhni hogi. Samajik Vikshiptata, visangatiyan aur buraiyaan agar galat hain to galat manani padegi, Unpar kada prahaar karna padega aur sudharani padegi.