'Laal Mann' sheershak ka arth hai, 'A Red Mind', maane sooje huye vichaar. Ye kitaab ka adhiktam hissa lockdown ke samay mein likha gaya hai. Isse shayad aap samajh sakte hai ki lekhiki mein soojan kyun aayi hogi? Laalmann ek nawyuvak hai jo ki bharat ke ek mahanagar mein rehta hai. Wo apne aaspaas ke vatavaran se bahot prabhavit hai. Lalman ki kahani Aadarsh aur Yatharth ke beech mein jhoolte rahti hai. Wo koi tairaaki ke tarah is dwand ke sagar ko paar karne mein laga hua hai. Ek ke bad Ek, jab tez lehron si girti hui jeevan ke bahuroopi bajra, laalmann ki pasaliyon ko todne mein utaaru rehte hai, wo i se joojhta hua, girta sambhalta hua, toote huye sapno ke dher batorta hua, apne aap ko doosre-teesre padaav mein paane lagta hai. Is pustak ke maadhyam se Rohit ne, sheher mein palaayan kiye huye Migrant Workers ke jeevan chitra ka varnan karne ki gustaakhi ki hai.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.