Jab tak Awaz bachi hai, tab tak ummid bachi hai.Is srinkhla ki alag-alag kadiyon me aap apne samay ke jwalant prashnon par lekhkon-kalakaaron -karyakartaaon ki bebaak tippaniyaan padhenge. Assam me 19 lakh log NRC ki aakhiri soochi se baahar hain. Grih mantri Amit shah ne 20 november 2019 ko sansad me spasht ghoshna ki hai ki nagarikta (sanshodhan) kanoon lane ke baad ise naye sire se poore mulk me laagoo kiya jayega. Poore mulk me NRC taiyaar karaane ke kyaa mayne hain ? Iske nishaane par kaun hain? Assam me iske banne ki prakriyaa se kyaa sabak miltaa hai? Anagarik ghoshit kar diye gaye logon kaa kyaa mustaqbil hoga? In sawaalon kaa jawaab talashne ki koshish hai yeh pustika. Lekhak- Harsh Mandar¿ Varna balakrishnan¿ Zasmer ali¿ Abdul kalam azad¿ Centre for equity studies Subodh vermä Suprakash talukdar¿ Sangeeta baruä Teesta setalvad¿ Ezaz ashraf¿ Ajay goodavarthi¿ T.K. Rajalakshmi
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.