Kavi ki kalam se: Prabhat ki safalta ke baad yah vichar aaya ki ek aise sahitya ki rachna ki jaye jismein gunphit har kavita ek moti ho, jiska svatantra astitva bhi ho, aur sari kavitaayein ek shrenee mein gunphit hone par ek sadhak ki aatma-katha ban uthaye. Wahi prayas yahan pustak ke madhyam se prastut karne ka raha hai. Nav Alok ki prasangikta is baat se bhi hai ki yah pustak ek nayi pehel karti hui dikhati hai. Mere vaiyaktik jeevan mein Prabhat jahan sari kavitaon ka sankalan hone se kavya jeevan ke Prabhat ke roop mein dekha ja sakta hai, Nav Alok kavya jeevan mein ek nayi usha ki kiran, ek naya prakash hai, ek nayi disha jisse nav dasa ka nirmaan hoga.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.