Yah jivan sukh dukh,utar-chadhav ki aadi tirchhi rekhaaon ke bich se gujarkar hi apni manjil tak pahunchta hai aur apne ko saarthak banata hai. Ismenkoi bhi ek bhi galat nirnay,ek bhi galat vyakti ka pravesh ya galat haalat uski jaden hilakar rakh dete hain. Vah jivan ghutan aur taklifon se bhar jaata hai . yah kahaani ek aisee naari ki hai jo apne jivan ki aadi tirchhi rekhaon se hote hue apna Jivan sanvaarne nikalti hai lekin ek avaanchhit lakir uske sapnon ke mahal ko tahas- nahas kar deti hai.Jaise tash ke mahal se ek patta bhi hilta ya khisakta hai to mahal dharashai hone lagta hai kuchh vaise hi halaat ho jaate hain .Fir bhi vo apne antarman ke aayatan se avsaad aur pida ko nikalkar jivan ko jivan banaane ki koshish mei lagee rahti hai .Lekin baar baarjindagi dard dene lage to vah kya kare ?Vah kaise jiye?In sab savaalon ke jaal mei ulajhati hui naayika pramila apne jivan ke tane-bane ko suljhaane mei kitni safal ho pati hai - Iska javab hai yah upanyaas .
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.