14,99 €
inkl. MwSt.

Versandfertig in über 4 Wochen
payback
7 °P sammeln
  • Broschiertes Buch

yah kahaani ek aisi nari ki hai jo apne jivan ki aadi tirchhi rekhaaon se hote hue apna jivan sanvaarne nikalti hai lekin ek avaanchhit lakir uske sapnon ke mahal ko tahasnahas kar deti hai .Jaise tash ke mahal se ek patta bhi hilta ya khisakta hai to mahal dharashayee hone lagta hai kuchh vaise hi halaat ho jate hain.Fir bhi vo apne antarman ke avsad aur pida ko nikaalkar jivan ko jivan banane ki koshish mei lagi rahti hai lekin baar baar jindgi dard dene lage to vahkya kare aur kaise jiye ?in sab savalon se ulajhati hui naayika pramila ka yah duusra bhaag uski nakaratmakta se sakaratmakta…mehr

Produktbeschreibung
yah kahaani ek aisi nari ki hai jo apne jivan ki aadi tirchhi rekhaaon se hote hue apna jivan sanvaarne nikalti hai lekin ek avaanchhit lakir uske sapnon ke mahal ko tahasnahas kar deti hai .Jaise tash ke mahal se ek patta bhi hilta ya khisakta hai to mahal dharashayee hone lagta hai kuchh vaise hi halaat ho jate hain.Fir bhi vo apne antarman ke avsad aur pida ko nikaalkar jivan ko jivan banane ki koshish mei lagi rahti hai lekin baar baar jindgi dard dene lage to vahkya kare aur kaise jiye ?in sab savalon se ulajhati hui naayika pramila ka yah duusra bhaag uski nakaratmakta se sakaratmakta tak pahunchne ki safar ki kahani hai jismen vah apne jivan ko naya mod dene mei safal hoti hai . Pramila ka dusra bhag likhne ke pichhe meri mansha rahi hai ki aisi Pramilaaen bhi ek nayee soch ke sath apni jindgi ko naya mod de sakti hai,jindagi ko sarthakta pradan kar sakti hai . Negitivity se positivity ka yah safar thoda lamba avshya ho gaya hai Iski bhi vajah hai ki kisi mei bhi yah parivartan achanak nahi aa sakta ,us ghanibhut pida ko pighalne mei vakt lagta hai .Man ke andar jami nirasha ke mail ko khurach kar saf karne ki koshish karenge to man ghaayal ho sakta hai aur parinam kharonch rupi ghav ke rup mei vipreet mil sakta hai .
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.