Raahi ke madhyam se main kuch kavya rachnayein aap sabhi tak pahunchaane ki koshish karna chahungi. Raahi ek kavya-sangrah hai jisme vibhinn vishayon par kuch bhaavon ko shabdon me ankit kiya gaya hai. Aaj jin shabdon ko aapke saamne lane ki koshish kar rahi hoon, yeh vah shabd hai jinhone bachpan se mujhe apni baat aur dusron ke anubhav saajha karne ki tasalli di hai. Saahityik rachna seekhne me abhi bahut waqt lagega magar ek aakhiri safar par yeh raahi ek aakhiri saanson ki ldi ko shabdon me pirone ki koshish kar rahi hai. Tinka-tinka jodna phir aashiyaana bnana ek "paakhi" ka kartavya hai, aashiyana samaaj dwara ujada jaye yaa saraaha jaye vah vichaar dhara par nirbhar karta hai. Bindi, Bichhuye, Kangan aur Mangalsutra ki pehchaan se hatt kar, shringaar ki parakaashthaa ko paar kar, shanka, aashanka ki laxman rekha se nikal kar ek panchi ke bhaanti udne ki prabal ichchaa liye ek aakhiri safar aap sabhi ke naam karne jaa rahi hoon.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.