Humari zingagi me sbse aham kirdaar humare apne ada krte hain. Kyuki jo humare apne hote hain ya jo insaan humare dil ke bahut kareeb hota h usse judi hr baat humare liye bahut azeez hoti hai bhale hi wo achhi wo ya bhuri.Par jab unhi apno se hame dhoka aur fareb jaisi chizen milti hain, jb apno se apnaiyat ka daga sila milta hai aur jb humare rishte hi humara gala ghotne lgen to bahut azeeyat hoti hai, aur us waqt jo hum mahsoos kr rhe hote hain , jis azeeyat jis takleef se guzar rhe hote hain use shabdon me likhna mumkin nhi. Lekin Phir bhi un takleefon ko, us ahsaas ko, aur us drd ko Maine kore panno pr panktiyon ke roop me likhne ki ek choti si koshish ki hai. Meri kavitaon me jivan ke un palon ko chhune ka prayas kiya gya hai wo manav man ko jhakjhor deti hain.is laghu kavy pustika (sham aur tanhai) me Apni kavitaon ko samaj ke aina ke roop me rkhne ki koshish hai aur ummid hai ki aap sbon ko mere kavitayen pasnd aaye gi aur meri panktiyan ap sb ke hirday tk zaroor pahuche gi.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.