17,99 €
inkl. MwSt.

Versandfertig in über 4 Wochen
payback
9 °P sammeln
  • Broschiertes Buch

Darshan ke shaastra hai. Ise jeene ke liye shaastra ka vidhivat adhyayan aavashyak nahee hai. Parantu yeh mahatvapurna hai ki vyakti ke vichaar samay ke saath utkrusht ho. Jeene kee paddhati apne aap mein ek darshan ho sakti hai. Pahluon ka sookshma avalokan buddhi ke liye dharma se kum nahee hai. Jeevan ke liye saral drashikon bhee ek kavita ko janma dene ka saamarthya rakhta hai. Lekhak ka yeh sankalan ek saadharan abhivyakti ka prayaas hai. Vicharon ko waqt par shabdon ka saharaa lena padtaa hai. Wo bhee anayaas utpanna ho jate hai. Kavitayen rachee nahee jaa saktee, wo umadati hai, aisa…mehr

Produktbeschreibung
Darshan ke shaastra hai. Ise jeene ke liye shaastra ka vidhivat adhyayan aavashyak nahee hai. Parantu yeh mahatvapurna hai ki vyakti ke vichaar samay ke saath utkrusht ho. Jeene kee paddhati apne aap mein ek darshan ho sakti hai. Pahluon ka sookshma avalokan buddhi ke liye dharma se kum nahee hai. Jeevan ke liye saral drashikon bhee ek kavita ko janma dene ka saamarthya rakhta hai. Lekhak ka yeh sankalan ek saadharan abhivyakti ka prayaas hai. Vicharon ko waqt par shabdon ka saharaa lena padtaa hai. Wo bhee anayaas utpanna ho jate hai. Kavitayen rachee nahee jaa saktee, wo umadati hai, aisa lekhak ka vishwas hai. Rachnaon ke saar mein ek sahaj kintu gambir bhaav hai jo prakrutik hai. Shabdon mein sanjeedgee ho saktee hai parantu bhavon mein chupee saraltaa samajhne ke liye kisi vigyaan kee jaroorat katai nahee hai. Pathakon ka bina kisee poorvagrah ke in kavitaon se banaya hua rishtaa, ek anubhuti hogee tathaa use sahejane ka adhikaar, lekhak ka mohtaaj nahee hoga.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.