Hadeeson ke baare me Tareeq gawaahi deti hai ke hadees kehta hai. Hadeeson ka silsi la kab se shuru huwa? Ye Hadeeson ko kiss tarha yekatta kiya gaya? Hadees ki Ahmiyath kya hai? Hadees ki fazeelath kya hai? Aur Hadees ka jamaa karne ke liye kithne maal kharch kiya? Aur Kithne door door tak safar kiya in saari baton ki jaan kaari har musalman jaanna zaroori hai. kyun jaan kaari len? Hamaare liye toh quran kaafi hai ye sab jaan kaari ki kya zaroorath hai? Iss liye khud Allahtalla Quran ke Surah [33:21] me kehte hai ke (¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿) Beshak Tumhare liye Rasool (S.A.W) ki zaath me Umdaah namoona hai aur Surah[59:7] me Allahtalla ka irshad hai Rasool(S.A.W) Tumhe jo kuch den use lelo aur jiss cheez se mana kare use ruk jaavo. (¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿ ¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿¿ ¿) isi liye hadees ke baare me malum karna zaroori hai. Asal me hadees kisko kehte hai? Allah ke nabi (S.A.W) ke qowly ko, Aap (S.A.W) ke fealy ko, Aap (S.A.W) Taqreeri ko hadees kehte hai! Hum is kitaab me saheeh hadees kounsi hai? hasan hadees kounsi hai? zaeef hadees kounsi hai? mutawaakir hadees kounsi hai? Aur kounse hadees qubool ki jaati hai? kounsi hadees qubool nahi ki jaati? Wagaira in sab batoon ke baare me khulaase se likh diya gaya. Har aak Talibaah aur har aak qaraeen ko samajh me aane waale andaaz me likha gaya.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.