Humare samaj mein prem karna paap hai, magar usse bada paap hai us prem ko haasil karne ki chaahat rakhna, wo bhi tab jab wo prem dharm, jaati aur samudaay ke bandhanon mein jakda hua ho. Ye kitaab un logon ko samarpit hai jo apne pyaar ko haasil nahin kar paaye sirf isliye ki unhone apne dharm aur jaat ko alag rakh kar ek insaan se prem kiya tha. Is kitaab mein us tootan ka zikr hai jo ek vyakti ko tab jhelna padta hai jab wo samaj ki bani deewaron ko laanghne ki koshish karta hai bilkul waise hi jaise mukesh aur anuradha ne koshish ki thi. Allahabad ke Mukesh Saxena aur Anuradha Soni ko ek doosre ki muhabbat mein giraftaar huye lagbhag 7 saal ho chuke hain. Dono apne ishq ko ek mukammal jahaan dena chaahte hain magar samaj unke beech jaati ki deewar ban kar khada ho jaata hai. Kya Mukesh aur Anuradha is deewar ko todkar ek doosre ke ho paayenge?
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.
Hinweis: Dieser Artikel kann nur an eine deutsche Lieferadresse ausgeliefert werden.