'Qasasul Ambiya' , 'Tazkiratul Ambiya', 'Hazrate Adam se Muhammad ﷺ tak' aur aise hi milte julte naamo se kai kitabein paai jaati hain jin mein aksar kitabein aisi hain ke jhooti aur ghair motabar riwayato se bhari padi hain aur phir likhne waalo ko dekhein to kai kitabein badmazhabo ki likhi hui hain jinhone Ambiya -e- kiraam ke waqiyaat ko bayaan karne mein adab ko bilkul malhooz nahin rakha aur jo chahe alfaaz istemal kiye hain, Kuchh aise logon ne bhi is mauzu par likhne ki koshish ki hai ke jo bahut satahi (basic) ilm rakhte hain aur isi wajah se is mauzu par likhi gai kitabo mein bahut ghalatiya paai jaati hain Shaykhul Hadees, Hazrate Allama Abdur Razzaq Bhatralwi rahimahullahu ta'ala ki ye kitab banaam 'Tazkiratul Ambiya' un sab kitabo se bilkul alag hai jinka humne zikr kiya, Is mein jahan motabar aur mustanad waqiyaat par iktefa kiya gaya hai wahin Ambiya alaihimussalam ki taraf mansoob ghair motabar waqiyaat ki nishandehi bhi ki gai hai aur saath hi aisi riwayato ko daleel bana kar aitraz karne waalo ko ilmi aur tehqeeqi jawab bhi diya hai
Dieser Download kann aus rechtlichen Gründen nur mit Rechnungsadresse in A, B, CY, CZ, D, DK, EW, E, FIN, F, GR, H, IRL, I, LT, L, LR, M, NL, PL, P, R, S, SLO, SK ausgeliefert werden.